Saturday, September 27, 2014

EP-5 : THE DEAL OF BUNGALOW



FADE IN



INT. GARMENTS SHOWROOM – DAY
This is inside of a branded clothes show-room. Raghu and Raju are checking T-shirts.


RAGHU
Ye dekh. Kaisa lag raha hai mere
upper.


RAJU
Amazing bhai. Ekdum shahrukh lag
raha hai

RAGHU

Really. Wao man.

RAJU
Ye bata na. Ye kaisa hai.

Raju shows his T-shirt.
RAGHU
Cool. Le le. Le le.

RAJU

                Wao man. maine kabhee flying
                machine nahin pehni.

RAGHU

Same here. Darling aaj ke baad
hum kewel branded kapde hee pehnege.

Raghu and Raju both laugh. They then go to shoes section and start looking at branded shoes.


INT. CASH-COUNTER – DAY
Raghu and Raju both are on the counter. There are 3 packets.

RAGHU
Kitna hua?

CASHIER
25 hazar.

Raghu and Raju looks at each other with surprise. Raghu takes out money and gives to the cashier.


CASHIER
Thank you sir.

Cashier gives them receipt. They pick all the carry-bags and go out of the show room.


INT. CASH-COUNTER – DAY
Raghu and Raju are walking. They have carry bags with them.

RAGHU
Yar, 25 hazar kitne kam hote
hain. Aaj pata chala.

RAJU
Seriously. Humne 2-4 kapdee he to
kharede. Aur bill 25 hazar.


RAGHU
Yes man. Hum abhee bhee kangal ke
kangal hain. Hamein jaldee hee koi
bade tikdam lagani padegi. Werna
aise kaise chalega.

RAJU
You are right man.


Just then a car comes near them and stops. A man leans out from the window.

MAN
Excuse me.

RAJU
Ji?

MAN
Aap bata sakte hain ye kahan
padega?

The man shows them a slip. Raghu reads the slip.




RAJU
Oh, hum log usee raste se ja rahe
hain.

MAN
              Oh. Fir aap car main aa jaiye. Main
aapko drop ker dunga.

RAJU
Ok. Aa Raghu.

Raghu and Raju sit in the car. And the man drives it off.

INT. CAR – DAY

Man is driving the car. Raghu and Raju are sitting in the back seat.


RAGHU
Aap yahan naye hain kya?

MAN
Yes and no. Actually main yahan
paida hua tha. Lekin 8 saal kee
umar main hee USA chala gaya tha.
Ab to mujhe raasta bhee theek
se yaad nahin hai.

RAJU
Oh. To yahan kon rehta hai.

MAN
Mere dadaji.

RAGHU
Akele?

MAN
Ya. Dadi ji pichle saal chal
basee theen.


RAGHU
Oh. I am sorry.

MAN
Dada ji akele ho gaye hain.
isliye main unhe lene aaya
hun.

RAJU
Oh. To aap wapas kab tak jayenge.

MAN
Parson chalein jayenge.


RAJU
Ok. Aur ghar ka kya hoga.

MAN
Well, ghar ko nahin le ja
skate. Pada rahega yahin per.


RAJU
Ha ha. Aap kafi accha majak
ker lete hain.



RAGHU
OK. Yahan rok dijiye. Ham yahin
rehte hain.

Raghu and Raju come out of the car holding their carry-bags.

RAJU
Ok. Aap seedhe jaiye. Pehli
red light se left ho jaiye.
Kone wala bungla aapka hee hai.

MAN
OK. Thank you so much young
men.


RAJU
Anytime. OK. Bye.

RAGHU
Bye.

The man drives off the car. Raghu and Raju waves at him.

RAGHU
              Tu uske ghar ke bare main kuch
jayada hee nahin pooch raha tha.
             


RAGHU
              Haan. Ek idea hai.

RAGHU
              Kya.

RAGHU
              Chal batata hun.


EXT. COMPOUND – DAY

Raghu and Raju are coming. Just then Ruby comes with a handsome boy.

RUBY
Hello Raghu. Hello Raju.


BOTH
Hello.  

RUBY
Ye Sunit hai. Tumne wo serial
dekha hai. Meri beti mera bhavishya –
usme lead role main Sunit hee to tha.



SUNIT 
Hello guys. Autograph.

RAJU
Sorry. Hum log diary lana bhool
gaye hain.

SUNIT 
Koi baat nahin. Hath  per le lo.


Sunit signs on their hands.


INT. APARTMENT – DAY

Raghu and Raju are washing their hands.

RAGHU
Sala autograph deker chala gaya.

RAJU
Mujhe to lagta hai jaldee kuch
kerna chahiye. Verna ye ruby
naam kee chidiya  kahin aur
ud jayegi.



RAGHU
Haan yar. Acsha plan kya hai.

RAJU 
Idhar aa.

Raju whispers the plan in Raghu’s ear.

RAGHU
Wao yaar. Idea to ekdum dhansu hai.
Isse to hum jaldee se ameer ban
jayenge.

RAJU 
Hai na. Chal fir lag ja kaam per.

Both go inside.


INT. APARTMENT – DAY

Raghu is sleeping in his bed. Raju comes and shakes him.


RAJU
Oye kumbhkaran uth ja.

Raghu keeps lying.

RAGHU
Kya hua?



RAJU
Pata bhee hai aaj kon sa din hai?

RAGHU
Kon sa?





RAJU
Yaar kabhee kabhee tu bewkoofon wali
baat kerta hai. Aaj mangalwar hai.


RAGHU
To ?

RAJU
Shit man. Tu USA wale bhai sahab
ko bhool gaya. Aaj wo apne dada
ke sath USA ja raha hai.

All of sudden  Raghu wakes up and sits straight in bed.


RAGHU
Oh my god.

RAJU
Chal jaldee taiyaar ho ja.

Raghu runs towards the bathroom. And Raju goes to kitchen.


EXT. BUNGALOW - CAR – DAY

A car is standing outside the bungalow. The man which Raghu and Raju had met earlier is keeping suitcase in the dicky of car. An old man  with stick walks towards the car.
Old man sits in front seat. The man sits in driver seat.

MAN
Chalein dada ji.

OLD MAN
Haan bete chalo.

The man drives off the car. Soon it goes out of sight.

We see Raghu and Raju hiding behind the tree. When the car leaves they come in front. They walk upto the house/ there is a lock on the road.


RAGHU
Ghar to bahut bada hai yar.




RAJU
Tujhe kya lagata hai kitne ka
hoga

RAGHU
Ek crore ka to hoga.

RAJU
Buddhaa aur uska beta to USA
gaye. Ab is ghar ka kya hoga.

RAGHU
Jaldee hee ise bechna padega.

RAJU
Right. He he he.

Both hi- fi and laughs.


EXT. LOCK AND KEY SHOP – DAY

Raju and Raghu enter a small shop of locks and keys.


INT. LOCK AND KEY SHOP – DAY

A man is sitting inside. He is beating a key with hammer.


RAJU
Hello chote lal ji.

Man looks up. Raghu picks up a key and looks through it.

RAJU
Wao. Aap to bahut hee badhiya
chabiyan banate hain..

Raju stops playing with keys.

RAJU
Ok. Chote lal ji. HaaMra ek kaam
ker denge.

KEYMAKER
Ji. Boliye.




RAJU
Kal raat daru kuch jayada ho gayee
thee. Nashe kee halat main humse
ghar kee chabi kho gayee. Aap
duplicate bana denge.

KEYMAKER
Haan. Per mujhe tala dekhna padega.


RAJU
Haan. Chaliye dekh lijiye.

Raghu, Raju and keymaker go out of the shop.


EXT. BUNGALOW – DAY
Raghu and Raju come to the door with key maker. Raghu shows him the lock.

RAJU
Ye raha tala. Kya aap bana sakte
hain?


KEYMAKER
Pichle 30 saal se main yahee kaam
ker raha hun.


The key maker starts taking measurements with a wire. After some time he stops.

KEYMAKER
Ok. Kal chabi le jana dukaan se.

RAJU
Ok. Thank you so much.


EXT. BUNGALOW – DAY

We see a key, and then camera shows us Raghu is holding it. Raju is standing beside him.


RAJU
Chal andr chaltein hain.



RAGHU
chal.

Raghu and Raju go to the door. Unlock the lock and go inside the house.

INT. BUNGALOW – DAY
Raghu and Raju come in living room. It’s well furnished.

RAGHU
Wao, kya ghar hai yaar.

RAJU
Really yaar.

Raju lies down on the sofa.

RAGHU
Hmm. Lekin aage kya karenge?


RAJU
Dekh ab haemin ghar kee sale ke
poster chapwane padenge. Uske baad
idhar –udhar chipka denge.

RAGHU
Chal fir. Jaldee se ye kaam ker
lete hain. Mere se wait nahin
ho raha. Jaldee se paise aayein
aur jalde se main gadee kharidun
aur jaldee se Ruby ko long drive
per le jaun.

RAGHU
Oye shekchilli ki aulad. Spanon
kee rajdhani ko thoda break laga.
Werna patri se utar jayegi.


RAGHU
              Yar tujhe to pata hee hai. Ruby
ko leker main kitna senti hun.

RAJU
              Haan. Wo to main bhee hun.

RAGHU
              Kya bola be.

RAJU
              Kuch nahin. Kuch nahin. Chal.

Both go.


INT. XEROX SHOP – DAY
Raghu and Raju are at Xerox shop. A boy is there in the shop doing some photocopying. Two students are standing there.

RAGHU
Iski 50 copies ker do.

Raghu gives the Xerox boy a printed paper.

BOY
Ok.

Boy takes the paper and starts photocopying. He hands over the copies to Raghu.

RAGHU
Kitna hua.


BOY
30 rs.

Raghu gives boy money. Raghu and Raju leave the shop.

EXT. ROAD – DAY

Raghu and Raghu are walking.

RAGHU
Chal ab poster chipkate hain.

RAJU
Haan. Aadhe mujhe de.

Raghu gives half of posters to Raju. They start pasting the posters all over. Raghu paste a poster on a tree. Raju pastes one on the pillar. The poster reads: A big banglow is for sale fo Rs 25 lakhs only. Please Contact at – 7878787878.


After some time all the posters are finished off. Raghu and Raju go from there.





INT. BUNGALOW – DAY

Raghu is inside the house.


EXT. BUNGALOW - LAWN – DAY

Raju comes to the lawn of house and puts a signboard: FOR SALE.


INT. APARTMENT – DAY

Raghu is lying on sofa playing video game. Raju is lying on carpet and reading a magazine. Just then cell phone of Raju rings. Both jumps up quickly. Raju receives the phone.

RAJU
Ji. ji. hamne hee wo ad diya tha

RAJU
Ok.

RAJU
Ji. No problem. Aapko address pata
hai na.

RAJU
Ok. Thik hai. Aap 10 baje tak pahunch
jayeaga. Hum aapko ghar dikha denge.

RAJU
Ji.Bye.

Raju jumps with excitement.

RAJU
Yeyyyyyy!!!


RAGHU
Kya hua?

RAJU
Kal ek  bakra aa raha hai. halal
hone.

RAGHU
Kon?

RAJU
Koi  gujrati hai.

RAGHU
Ok. Aane do bakre ko. Ham bhee
churi per dhaar laga lein.

RAJU
Yes.


EXT. BUNGALOW – DAY

Raju is standing near the lawn of the house. Just then a car comes and stops near Raju. A gujrati man gets down. Raju goes towards them. Wife and son of Gujrati man also gets down. Raju goes to gujrati man.

RAJU
Aaiye aaiye sir. Main Rajesh
srivstava. Maine hee kal aapse
baat kee thee.

Raju offers his hand.

RAJU
Hello Mr Rajesh. Main  Mr Murgiwala.

Mr Murgiwala shakes Raju’s hand. [SOUND OF MURGIS COMES]



Mr. Murgiwala
Ye meri patni Mrs  Murgiwala. Aur
mera beta.


RAJU
Ji namste. Aap logon se milker badee
khusi huee. Aaiye ander chalte
hain.

Raju goes towards the house. Mr Murgiwala, his wife and son also follow Raju.


Mr. Murgiwala
Owner ghar bech kyun raha hai.Kya
lafda hai

RAJU
Well Mr Murgiwala, lafde wali koi
baat nahin hai. Actually Mr
Biswas jinka ye ghar hai bahut
budhe ho gaye hain. Aur kafi beemar
bhee rehte hain. Unhe laga ke
kabhee bhee unki maut ho saktee
hai. Isliye wo jaldee se is ghar
ko bechkar char dhaam kee yatra
per nikal jana chahte hain.



Mr. Murgiwala
              Idea bura nahin hai.


RAJU
              Aaiye Mr Biswas se milne chalte
hain.

Raju, Mr Murgiwala, his wife and son reach at the door.
Raju opens the door. And they all go inside.


INT. BUNGALOW - BEDROOM – DAY

Raghu is lying on the bed. He is in the get up of an old and sick man. There is a glucose bottle hanging on the stand. A catheter is going to his wrist. On the nearby table there are various medicines.
Raju, Mr Murgiwala, his wife and son come to Raghu.

RAJU
Mr Biswas.

Raghu coughs loudly. Raju gives him some water.

RAJU
Mr Biswas aap theek to hain.

RAGHU
Haan  dealer. Dekh to raha hai.
Main theek hun.

RAJU
Kuch client aaye hain. Wo
aapka ghar dekhna chahte hain.





RAGHU
Sab aate hain, dekhte hain, chale
jate hain. Koi vapas lot ker
nahin aata.

RAJU
Aisa nahin hai sir. Aap ummed mat
chodiye. Aur ye log bahut acche
hain. Ok inse milye. Ye hain Mr
Murgiwala.

Mr Murgiwala joins his hands in namste.


Mr. Murgiwala
Namste Mr Biswas. Ghabariye mat.
Aap jaldee hee acche ho jayenge.

RAGHU
Thanks Mr Murgiwala. Aap kitne
acche hain.


RAJU
Sir main inhe ghar dikha dun.  

RAGHU
Haan dealer. Jara acche se dikhana.

RAJU
Chaliye chalte hain.

Raju takes Mr Murgiwala, his wife and son to some other room.


INT. BUNGALOW – DAY

Raju, Mr Murgiwala, his wife and son comes back to Raghu.



RAJU
Mr Biswas. Good news hai.
Mr Murgiwala  ko aapka ghar bahut
pasand aaya.





Mr. Murgiwala
Haan Biswas ji. Ghar bahut badhiya
hai.

RAGHU
Oh, well. Good. Chalo kisi ne to
kaha ki ghar accha hai.

RAJU
To sir deal final kee jaye.  

RAGHU
              Haan haan kyun nahin.

Mr. Murgiwala
 Thik hai aap mujhe bas final price
bataiye.

RAJU
25 lakhs.

Mr. Murgiwala
Ok. Done.

Raghu and Raju look at each other with surprise. Mr Murgiwala’s wife elbows him and whispers.




Mrs. Murgiwala
Pagal ho gaye ho kya. Kuch bargain
to ker lo. Itne se ghar ke 25 lakh.

Mr. Murgiwala
Are ganwar aurat. Bungala 5 crore
se upper ka hai. Budhha lag raha
hai sathiya gaya hai.

Mrs Murgiwala becomes silent.

RAJU
To bataiye Mr Murgiwala. Aapko ghar
chahiye ya nahin. Is se ek bhee paisa
kam nahin hoga.

Mr. Murgiwala
Haan haan kyun nahin. main abhee
ghar khareedna chahta hun.

RAGHU
Agar aap abhee paise de denge to
main abhee khali ker dunga.
Waise bhee char dham ki yatara
main bahut der ho chuki hai.
Main ab nikal jana chahta hun.

Mr. Murgiwala
Kya sach main. Ok. Jara rukiye.

Mr Murgiwala goes out. He returns with two servants. The servants are carrying two gunny bags full of something.
Servants keep down the bags and go out.


Mr. Murgiwala
Ye lijiye. Purey 25 lakhs. Gin
lijiye.

Raghu jumps out of bed. He removes catheter. Both Raghu and Raju start counting money contained in the gunny bag.


Mrs. Murgiwala
Budhha to bahut beemar lag raha
tha..

Mr. Murgiwala
Bhagyawan. Paisa to murdon main
bhee jan daal deta hai. Buddha to
bimar hee tha.

After some time.


RAJU
Pure 25 lakhs hain.

RAGHU
Mr Murgiwala. Aap kitne immandaar
hain. Bhagwan kare aapkee murgiyon
kabhee ande dena band na karein.

Raghu and Raju tie up the gunny bags. Raju gives Mr Murgiwala key of the house.

RAJU
Lijiye Mr Murgiwala. Ghar aapka
hua.

Raghu and Raju pick up the gunny bags and go out of the house.


EXT. ROAD – DAY
Raghu and Raju go to a car and keep the bags inside. They then  drive off.

EXT. GROUND – DAY
In a ground surrounded by forest Raghu and Raju shout and run with joy. They throw some notes in the air.


RAGHU
Yuhu……….hu …

 RAJU
Yehhhhhhh….ha ha ha


They keep running and enjoying the money for some time in open.


INT. BUNGALOW – DAY

Mr Murgiwala is watching Tv with his family and laughing. Just then a fat black man comes there. There are two ugly gunda type of men with him.


GUNDA 1
Hai alla. Aye tum log is ghar main
kya ker rahe ho.


Mr. Murgiwala
Kya ker rahe ho matlab. Ye mera
ghar hai. Lekin tum log kon ho.
Aur mere ghar main bina permission
kaise ghus aaye.

GUNDA 2
Tera ghar. Dimag theek hai tera.
Ye inka ghar hai. Donga Kapdiya
ka.

The man takes out talwar and a gun.







Mr. Murgiwala
Aa  aa  aa..dekhiye aapko galatfehmi ho
gayee hai. ye ghar hamne khreeda
hai. Dekhiye mere pass paper
bhee hain. Are suno paper lao
jaldee.

Mrs Murgiwala brings papers.

Mr. Murgiwala
Ye dekhiye.

Donga sees the paper.

DONGA 
Aise papers to mere pass bhee
hain.

Donga shows Murgiwala the paper. He slaps his head.


Mr. Murgiwala AND DONGA
Hai dhokha.


Man and his grandfather come.

MAN
Kya dada ji aapne to USA main
ek hafta bhee poora nahin hone
diya.

OLD MAN
Haan beta. Is ghar main teri
dadi kee yadein niwas kertee
hain. Mujhe un yadon kee yaad
aatee hai.

MAN
Dada ji lagta hai hum galat ghar
min aa gaye.

OLD MAN
Galat kaise beta. Wo dekho tumhari
dadi kee tasveer lagee hai. Tum police
ko phone karo. Ye property mafia
hai. Hamare jate hee mere ghar per
kabja ker liya.

Donaga and Murgiwala slaps their heads and says toagther.

MR MURGIWALA AND DONGA 
Hai hum lut gaye.




THE END




No comments:

Post a Comment