Saturday, September 27, 2014

EP-6 : THE MBA COLLEGE



INT. APARTMENT – DAY
Raghu is lying on the carpet and drawing sketch. He is sipping coke also. Just then Raju comes. He is holding a copy and pencil. Raju sits on the sofa and starts scribbling on copy. He is doing some calculations.


RAJU
Ye kya ker raha hai?


RAGHU
Dikhta nahin- sketch bana raha
hun.

RAJU
Oye Picasso, band ker ise. Kuch
pata bhee hai hum kitnee museebat
main hain.

Raghu stops drawing and looks up.

RAGHU
Kya yaar. Ab kya hua. Itna tagdaa
haath maara hai hum dono ne.
Ab kaisee museebat.

Raghu resumes his drawing.

RAJU
Idiot. Sara paisa wo second
hand gadee khareedne main chala
gaya hai. Upper se tere kapde
aur her din disco aur partiyon
ka kharcha. Kuch bhee nahin
bacha hai haamre paas.

Raghu looks up again.
RAGHU
Kya? Kya keh raha hai yaar.

RAJU
Le khud dekh le.

Raju throws the copy to Raghu. Raghu takes it and sees.

RAGHU
Yaar. Sach min paisa jitna bhee
ho kam hai.


RAJU
Hum abhee bhee kangaal hain.


RAGHU
Aisa kyun hai yar?


RAJU
Hamare spanon ka kya hoga.


RAGHU
Hum apna bungalow kab khareendge?


RAJU
Hum apni BMW kab layenge?

Rghu and Raju lost in dream for sometime.

RAGHU
Sapne dekhna band kar bhai. Hamein
kuch tikdam ladanee padegi.

RAJU
Ya. Haemin kuch naya aur bada
sochan padega.

RAGHU
Haan. Chal sochte hain yaar. Akhir
hum log bhee delhi ke thug hain.
hum chahein to kya nahin ho sakta.  


RAJU
Yes. Motivation.

RAGHU
Motivation.

Raghu straightens himself and start thinking. Raju gets up and starts walking to and fro thinking.

After sometime Raghu looks at the news-paper lying nearby. He picks up the news-paper and reads it.





RAGHU
Idea.

Raghu snaps his finger. Raju comes to him in excitement.


RAJU
Kya?



RAGHU
Ye padh.


Raghu gives news-paper to Raju. Raju looks at it.

RAJU
Kya.

RAGHU
Ye. ye.

Raghu taps on a headline with pencil.


RAJU
CAT ka result ghosit. Ismein kya
hai?

RAGHU
 Yahi to idea hai.


RAJU
Yar confuse mat ker. Thik se bata.

RAGHU
              Tujhe pata to hai na CAT kya hai?

RAJU
Haan haan. Management test hai na.
MBA ke liye. Yar main itna bhee
anpadh nahin hun.

RAGHU
Common aptitude test. Aise waise
MBA ke liye nahin. Top B-schools
IIM ke liye.

RAJU
Thik hai. Thik hai. Per idea kya
hai.


RAGHU
Dekh result aa chukka hai.


RAJU
Haan.  To?

RAGHU
Ye bahut hee tough paper hai. Bahut
kam log hee nikal paate hain.

RAJU
Sach main?

RAGHU
Haan. Aur iska matlab hai bahut sare
students nahin nikal payenge.

RAJU
Haan to.

RAGHU
To unhe admission bhee nahin milega.


RAJU
Sahi baat hai.  Fir?

RAGHU
Fir kya. Aise bachon ko hum log
apne college main admission denge.

RAJU
Apne college main? Kon sa apna
college?

Raju is looking excited now.

RAGHU
Well  R and R college of mamangement.

RAJU
Raghav and Rajan college of management.




RAGHU
Nahin. Ram and Ramiyaa college of
mamanagement.

Both Raju and Raghu laughs.

RAJU
What an idea sweety!

Raju gives Raghu a hi-five.

Raghu gets up.
RAGHU
Chal haemin bahut kaam karana
pdega.

Raghu and Raju go out of the room.

INT. RECPETION – DAY

Raghu and Raju go to the receptionist.


RAJU
Excuse me!


RECEPTIONIST 
Yes.

RAJU
Hum log R and R college of
management se aaye hain.

RECEPTIONIST 
R and R ?


RAJU
Ram and Ramyiaa college of management.

RECEPTIONIST 
Ok. To main aapki kya seva ker saktee
hun?






RAJU
Actually haamre college kee dmissions
honi hain. Haemin aapke hotel main
uske liye space chahiye.

RECEPTIONIST 
Admissions. Hotel main?


RAJU
Actually haamre college main  
students bahut hee elite gharon
se aaate hain. To hum chahte
hain ki unka admissions achee
jagah per hona chahiye.
Bina dikkat bina pareshani.

RECEPTIONIST 
Oh. Ab aisa bhee hone laga
hai. Well mujhe manager sahib
se baat kerni padegi. Aap please
baithiye.

Receptionist calls and talks to the manager. Raghu and Raju sit on the sofa.  
After sometime receptionist calls them.

RECEPTIONIST  
Jee aapko space mil jayega.
5000 charges lagega. Ek din
ka.


RAJU
5000.

RAJU
Haemin manjur hai. chal aa.

Raghu and Raju go out.



INT. CAR – DAY

Raghu and Raju are sitting inside the car. Raghu is on driver’s seat.




RAJU
Ok. Space to mil gaya. Ab aage
kya kerna hai.  

RAGHU
Haemin akhabar main ad deni
hogi. Chal kisi local
newspaper ka office dhoondhte
hain.


RAJU
Ok.

Raghu drives the car off.



EXT. PARK BENCH – DAY

A boy Anil of 21 is sitting on bench. He is holding a newspaper and searching it for his roll- no.  His fat father Sharma ji is standing nearby.

SHARMA JI
Mila kya?

ANIL
Ruko dad. Aap to mujhe pagal hee
ker doge.

SHARMA JI
Check ker. Chek properly.


After some time the boy finds his roll-no. His face is sullen.
ANIL
Shit!


SHARMA JI
Kya hua? Kitne number hain tere.

ANIL 
Bahut kam hain papa.


SHARMA JI
Kitne. Bata to sahee.

ANIL
45%

SHARMA JI
Kya. Satyanash. Ek saal kee coaching
ke baad ye marks aaye hain tere.
Itne to main bina padhe le aata tha.
Shyam ke bete ke tujhse jayada
aaye honge. Tune pure parivaar ko
sahrmsaar ker diya. Ab hum kya munh
dikhayenge society walon ko.

The boy is listening silently.

SHARMA JI
Ab kon sa reputed college tujhe
admission dega. Bata. Bata mujhe.

RAJU
R and R colleg.

Raju has come to father and son. He is speaking like a tamil and he is in get up of tamil. His hairs are curly and he has put a long tilak on forhead. He has moustaches also.

SHARMA JI
R and R? ye kon sa college hai.
Kabhee suna anhin iske bare main.

RAJU
Ya. Kaise sunenge. Ye to khas
logon ka khas college hai. Elite
class.

SHARMA JI
Matlab.

RAJU
Actually ye college aise students ko
heel eta hai jinka CAT score to kam
hai lekin hidden talent koot koot ker
bhara ho.

SHARMA JI
Hidden talent.









RAJU
ya. Aapko pata hai aajakl marks
koi nahin poochta. Kuch logon main
janm se hee talent hota hai doosre
logon ko manage kerne ka. To ye
college aise talent ko parkhta hai
aur students ko admission deta hai.

SHARMA JI
OK. Lekin aap kon ho? Aap kya college
walon kee taraf se aaye ho.

RAJU
Nahin nahin. Mera naam  Narayanswami
hai. Mera bhai R and R main padhaee
kiya. Uskee placement pata kahan huee.

SHARMA JI
Kahan


RAJU
Berkley bank of USA


SHARMA JI
Kya.


SHARMA JI
              Aur package maloom kya hai.

SHARMA JI
              Kya

RAJU
1 crore

SHARMA JI
1 crore?

RAJU
Haan.







RAJU
Wo log kewel chune hue students
hee lete hain. Is sari prakriya
ko gupt rakah jata hai. Admission
bhee hotel main kee jatee hai.


SHARMA JI
Lekin aajkal to bahut se college
hain. Hum kaise trust ker sakte
hain.  

RAJU
Well main college walon kee taraf
se to nahin aya hun. Main kewal apne
experience se bata raha hun. Main
to yahan se gujar raha tha app logon
kee batein kaan main pad gayee.
App log pareshaan dikhe to socha
aapko bata dun.

SHARMA JI
Ok. Kya aap unka address de sakte
hain?

RAJU
Ye lijiye.

Raju gives them a pamphlet.

RAJU
Ismein sab likha hua hai.

SHARMA JI
Ok. Thank you.

RAJU
My pleasure. Sach main ye bahut
accha college hai. Ok main chalta
hun. Bye.

SHARMA JI
Bye.


Raju leaves. Father and son read the pamphlet.





EXT. ROAD – DAY

Four college students are walking on the road. They are in casuals and having their bags on shoulders. They are three boys Vicky, Rohan and Nakul and one girl Rosy.


VICKY
Yaa aaj college bunk kerke
infinity mall chalein.  


ROHAN
Nahin yaar. Pehle hee attendance
short chal rahee hai.

RAJU (V.O)
Excuse me.


All the four students turn around. They see Raju. He is in regular clothes now.

VICKY 
Yes.

RAJU
Hello. I am Goverdhan. Admintsatrion
officer of R and R college.

ROHAN 
Ok.

RAJU
Aap log jaldee se kuch paise kamana
chahte ho.

NAKUL
Nahin. Chalo yaar chalte hain.
Mujhe to thug lag raha hai.

VICKY
Ruk na. Pooch to lete hain chakker
kya hai. Ok. batatiye haemin kerna
kya hoga.


RAJU
Acting.


NAKUL 
Acting?


ROSY
Wao..kon se movie main?

RAJU
 Movie main nahin yaar. Suno.

Raju starts telling students something which we don’t hear.

RAJU
Bas yahi kerna hai aap logon ko.
To aap log ready hain.

VICKY
Haan bilkul.

RAJU
To kal is pate per theek 10 baje
tak pahunch jana. OK.


ROHAN
Ya sure. Don’t worry. Hum log time
se pahunch jayenge.

RAJU
Ok. Bye.


VICKY,ROHAN,NAKUL AND ROSY
Bye sir.





INT. RECEPTION – DAY

A receptionist is sitting and checking her cell phone. On one side all four students are sitting. Just then Father and son come in and go to the receptionist.

SHARMA JI
Excuse me. Hum log director se
milna chahte hain.


RECEPTIONIST
OK. Ek minute rukiye.

Receptionist dials a number and talks.

RECEPTIONIST
Aapko thoda intejaar kerna padega.
Director sahib busy hain. Please
take a seat.

Receptionist indicates towards chairs lying opposite to four students.

VICKY
To Rohan kahan huee teri placement.


ROHAN
Yar HCL main.

VICKY 
Oh nice. Package kya hai.

ROHAN
50 lakhs. Aur teri.

VICKY 
Infosys. Mera bhee 50 lakhs hai.
Aur nakul tera.


NAKUL
IBM. 60 lakhs.

ROSY
Wao. That’s really great.

Father and son are looking at the students with shock.

VICKY
Really yar. R and R is awesome.
Yaad hai jab hum logon se CAT
clear nahin hua tha aur sab
log haamra majak udate the.







ROHAN
Haan yaar. Hum jaise bachhon ke
liye R and R bhagwaan kee den
hai. Even IIM students ko
bhee ab aisee placements nahin
milti.

NAKUL
Hum log R and R ko really bahut
miss karenege.


Sharm ji leans toward the students.

SHARMA JI
Excuse me.



ROSY
jee.

SHARMA JI
Aap charon R and R ke students
ho.

ROSY
jee.

SHARMA JI
Aap logon kee sach main itni
acchee placement huee hai.

ROSY 
Haan uncle. R and R rocks.

Father looks at his son.

ANIL (whispers)
Papa. Mujhe isi college main
admission lena hai.

Father nods in yes.



INTT. RECEPTION – DAY

Phone of receptionist rings. She picks up the phone talks and then keeps it down.


RECEPTIONIST
Excuse me. Director sahib ne aapko
bulaya hai.

Father and son go inside.


INT. DIRECTOR’S OFFICE – DAY
We see Raghu is sitting on director’s chair across the table. He is in suit. He bears a wig with grey hairs and have fake moustaches. He is bearing a spects also and is writing something. Father and son come there.

SHARMA JI
Hello sir.

Raghu looks up.
RAGHU
Hello, hello. Please come. Take
a seat.


Both father and son sits across Raghu.

RAGHU
Bataiye kya sewa ker sakta hun
aapki.


SHARMA JI
Sir main angad Sharma aur ye mera
beta Anil. Iske CAT main kam
percent hai. Kya iska admission
ho sakta hai aapke college main.

RAGHU
Score kya hai?


ANIL
45%

RAGHU
Oh. Ye to bahut kam hai. Ek to
hamare pass ek hee seat bachee
hai. Aur uske liye bhee MLA ka
phone aa gaya. Apne bhateeje ke
liye.


SHARMA JI
Please director sahib. Mere bete
ko admission de dijiye. Hum bade
ummed leker aapke pass aayein hain.  


RAGHU
Ok Ok. Mr Sharma. Udaas mat hoiye.
Main bhee apki terh baap hun. Main
aapka dard samjh sakat hun. Theek
hai main MLA ko mana ker deta hun.
Wo naraj to bahut hoga lekin sambhal
lenge.

SHARMA
               Matlab aap mere bete ko admission de
rahe hain.


RAGHU
               Haan 100 percent. He deserves this
seat.


SHARMA JI
Oh. Thank you director sahib. Aapka
bahut bahut dhanayabaad.

RAGHU
Ab aap jaiye aur ander accountant
baithe hain tiwari ji. Wahan form
aur fees bhar dijiye.


Raghu indicates to adjacent cabin.

SHARMA JI
Fees kitni hai.

RAGHU
Kewel Char laakh. Charon semester
ki milaker.


SHARMA JI
Kya. Ye to bahut jayada hai.

RAGHU
MLA sahib 15 lakh donation kee
baat ker rahe the.

RAGHU
Nahin. Aajkal ye to normal fees hai
waise. Chal beta.


Father and son get up and go to adjacent room.


INT. OFFICE – DAY

We see Raju sitting at a desk with some files and computer.
He is regular clothes. Father and son come.

SHARMA JI
Excuse me. Kya aap mr tiwari ho?

RAJU
Ji ji. Please come. Please baithiye.

SHARMA JI
Aisa lagta hai aapko kahin dekha
hai.

RAJU
              Kkk kyaa…kahan..kab..

Tries to think.

SHARMA JI
Um…yaad nahin aa raha.

RAJU

Chalo accha hai.

SHARMA JI
Kya


RAJU
Nahin..wo mera matlab ek jaise surat
ke saat log hote hain duniya main.
To shayad aapne mere kisi humshakal
ko dekh liya ho.

SHARMA JI
Ho sakta hai.





RAJU
Ok ye sab chodiye. Chaliye admission
ka kaam pura kerte hain. Dakhila to
mil gaya na.

SHARMA JI
Jee haan. Director ne badi mushkil
se haan kee hai. Fees aap hee lenge.

RAJU
Jee.

Raju gives them a form. The boy takes the form and starts filling it.

RAJU
Please ye form bhar dijiye. Fees to
aapko pata hai na. Char lakh. Only.

SHARMA JI
Haan haan. Sab pata hai. Lekin
vasool to ho jayega na baad main.

RAJU
Are hazar guna jyada.

Father takes out big bundles from his leather bag and place at the table. Raju measures and counts them.
Raghu looks through the window of other room.

The boy returns the form. Raju puts stamps and sign. And gives them receipt.


RAJU
Ok. Congrats. Ab aap R and R college
ke student hain. Batch 1st march se
start hoga. Time se pahunch jana
ok. We value punctuality.

ANIL
Sure sir.


SHARMA JI
Ok. Thank you very much Tiwariji.
Ab hum chalte hain.




RAJU
Ji ji. Bye

Father and son go out. Raghu comes in room.
Both Raju and Raghu start dancing.


EXT. VACANT LOT – DAY

A car comes and stops. Father and son come out. They see here and there but there are empty lots. They ask a person.



SHARMA JI
Bhai sahib. Bhai sahib.


MAN 
Ji.

SHARMA JI
Ye 22 bata 4 kahan padega

MAN 
Yahi to hai.

SHARMA JI
Lekin yahan R and R college kahan
hai.

MAN 
College. Bhai sahib yahan 5 km tak
koi school nahin hai. Aap college
dhoondh rahe ho.

Father and son look at each other and started crying.

SHARMA JI
              Hai..hum lut gaye..