Dialogues for
auditions
Family 1 – sarpanch
family
1 Vishambhar - 50 -60
years, tough sarpanch
Kyun ri. Jooth boltee hai. jantee nahin vikram yadav kitne
bade aadmi hain. unper itna ganda aarop lagate hue tujhe sharam nahin aayee.
2 Bhanumati – 50, tough Haryanvi lady
Kon sa bada teer mar diya hai!! betee hee to jani hai. dahej main koi footee kodi tak nahin dee thee
tere baap ne. hamari to kismet hee foot gayee.
3 Pratap – 40, alcoholic man
Main chahe jiyun ke marun..tujhe isse kya. Mere sharab peene ka karan kewal tu hai
saali. Ek beta tak nahin de payee. Paida ker dee ye manhus.
4 Samar – 35, office man look
Tum theek kehtee ho vidya. Yahan ka mahol palak ke liye
theek nahin hai. lekin kya karun agar yahan se bahar chala gaya to maan – baap jameen
–jaydad aur factory se bedakhl ker denge. Hum log sadak per chale jayenge.
5 Raghuvir – 25, young and rude
Are koi baat nahin amma. Abhee tumhara raghuvir jinda hai.
dekhna meri pehli hee santaan beta hogi beta. Bas tum dahej accha khasa dilwa
do.
6 dhara –prataps wife, 30
Dekhiye, ab aap din main bhee peen lage hain. itnee sharab
aapki sheet ke liye theek nahin hai.
aapko is halat main dekh ker surbhee bhee sahem jaatee hai.
7 Vidya- samar’s wife, 30
Dekhiye, is ghar ka mahol theek nahin hai. palak ab badee ho
rahee hai. us per kya asar padega is sabka.
8 Rajni – raghuvir’s wife, 25
Bhagwan. Kya mujhe pal pal khud per sharminda hone ke liye
hee paida kiya hai. mera dahej jutane ke liye pita ji ne ghar tak girbi rakh
diya.
9 rajni father – 70
Bhagwan sabko gareebi de, bhukh de, beemari bhee de de.
Lekin kabhee beti na de. Kabhee beti na de
10 rajni mother – 60
Kuch baat bani. Kya hua. Aap bahut pareshaan dikh rahe ho.
11 rajni brother – 40
Kya babuji. Aapko sirf rajni hee dikhti hai. mere bache,
meri patni aur khud main jaker kya sadak per rahenge.
12 rajni sister in
law-35
Aap kuch kehte kyun nahin. Hamare bhee bache hain. ghar
girbi rekh denge to hum log kahan jayenge.
13 surbhi – prataps
daughter, 16
Pallu, Is ghar main kewal ek hee sarkaar hai. aur uska naam
hai – bhanumati. Aur yahan ke sare niyam –kanoon wahi taya kertee hain.
14 palak- samars daughter, 14
Didi, tum school kyun nahin jatee. Sarkar ne to ladkiyon
kee fees bhee maaf ker rakhee hai.
Family 2 – Corrupt
rich man’s family
1 vikram – 50, sugar factory owner
Ye jhooth bol rahee hai. vastav main ye mere patnee ke son
eke kangan chura rahee thee. Jab maine ise pakad ker police main dene kee baat
ke to ye achank se ye drama kerne lagee.
2 Reena – 45, vikram wife
Wo tumhare pita hain bhee nahin…(kuch der baad). Vastav main
main kisi aur se pyar kertee thee. Aur use se shade kerna chahtee thee.
3 raghav – 20, vikram’s spoiled son
Are yar, main dost hun tera. Aur dost dost ke kaam nahin
aayega to kon aayega.
4 aabha – 16, vikram’s daughter
Mom aap dad ke samne itni chup-chup kyun rehtee hain. mujhe
lagta hai wo koi galat kaam ker rahe hain.
5 riya – 10, vikrams second daughter
Shut-up. wo mera boy friend nahin hai. sirf accha dost hai.
tum batao abhay ke sath tumhara kya chakkar hai.
Family 3 – headmaster’s
family
1 Onkar – 60, primary school headmaster
Beta, tumhari maan ke jane ke baad ab tumhe hee viraj ka
khyal rekhna hai. kabhee kabhee mujhe lagta hai wo kahin galat raste per to
nahin ja raha.
2 Ambika – 25, onkars
daughter office going, will commit suicide later due to office harassment.
Nahin sab thik hai. (kuch der baad rote hue..).. main bahut
pareshaan hun. office main mera senior hamesha mujhe ghoorta hai. gandee gandee
batein bolta hai. aur kal ..kal to mujhe choone kee kosish kee.
3 Viraj – 20, onkar’s son
Main us haramjadee ko jaan se maar doonga. Ek baar usk naam
bata behen. Naam bata us kamine ka. Tujhe meri kasam.
Family 4 – SC family,
poor
1 Murari – poor man, 55
Hum gareeb log hain kastoori. Is mamle ko yahin daba de. Is
chudail ke sath mat ja.
2 Kastoori - house
maid, 50
Je main pocha laga rahee thee..tabhee…tabhee ….ye admi
peeche se aaya…aur…aur…( rote hue) fir isne mujhe peeche se pakad liya aur
bister per dhakka de diya….main use door hatane lagee..
3 Meera – murari’s daughter, 18
Maan. Aaj tere sath jo kuch bhee hua hai..uska badla main
jaroor loongi. Jaroor loongi maan….(JOR SE) JAROOR LOONGI.
Police cops
Bhusan – 45
Are sarpanch jee. Aapki baat kaatne kee himmat pure gaon
main kisis kee nahin hai. haamri bhee nahin. Police tabhee kaam kertee hai jab
janta bhee sehyog de
Ashok- 30
Are marne de na. apna to ek hee usool hai hamesha crime hone
ke baad jao. Beech main ya pehele nahin. Chal patta fenk.
Prem – 30
Sir, gaon main kuch galat hua hai. ek aurat ka munh kala
karke sare gaon main ghumaya gaya.
Friends
Five boys – 20 to 25
Goons
8 goons – 35 to 40
Extras:
Village people – all age group
No comments:
Post a Comment